"Seeratul Ambiya" ki khususiyaat

Image

Ambiya e Kiram علیھم السّلام ki seerat ka ilm Hasil karne ke liye Shaikhul Hadees wal Tafseer Muftiye Ahle Sunnat Mufti Muhammad Qasim Attari مدظلہ العالی ki kitab "Seeratul Ambiya" ka Mutaala Nihayat Mufeed hai.

"Seeratul Ambiya" kitab me Ambiya علیھم السّلام ki Mubarak zindagiyon par ye jaame jumle Tahreer kiye gaye hain:

"Ambiya e kiraam علیھم السّلام kainaat ki Azeem tareen Hastiyan aur insaano me heere motiyon ki tarah jagmagati shakhsiyat hain, jinhen Khuda ne Wahi ke Noor se Roshni bakhshi. Hikmaton ke sar chashme unke dilon me jaari farmaye aur seerato kirdar ki woh bulandiyan ataa farmayi, jinki tabani se Makhlooq ki Aankhen kheera ho jaati hain. Unki Rabbani seeraton, Rahe Khuda me koshishon aur Khudai paigham pahuchane me uthai gayi mushaqqaton me tamam insaniyat ke liye Azeemato shaukat e kirdaar, himmat, housle aur istiqamat ka Azeem dars moujood hai. Unki seerat ka Mutaala Aankhon ko Roshni, Rooh ko quwwat, Dilon ko Himmat, Aql ko Noor, soch ko wusat, kirdar ko husn, zindagi ko ma'niyat, Bandon ko Niyaz aur qaumon ko urooj Bakhshta hai."

Mere Mutaala ki Roshni me kitab Seeratul Ambiya darje zail khususiyaat ki Hamil hai:

  1. Is kitab me 33 Ambiya e Kiram علیھم السّلام ki seerat ko Tafseel ke sath bayan kiya gaya hai.

Ambiya e Kiram علیھم السّلام se Mutalliq Ahadees ko Alag Baab me zikr kiya gaya hai, jiski wajah se kitab ka Mutaala karne wala Hadees ke Faizan se bhi mala maal hota hai. 3. Guzishta qaumon me payi jane wali burayyan aur unpar aane wale Azaab ka Tazkira bhi is kitab me Moujood hai, taake Moujooda zamane me guzishta qaumon wali burayyon me Mubtala Afrad ke liye Nasihat ho. 4. Guzishta qaumon ka ibratnak Anjam Bayan karne ke baad Qarein ko darso Nasihat ki gayi hai aur ise ba Qaida Alag Heading me Bayan kiya gaya hai. 5. Kitab Seeratul Ambiya me jagah jagah bisyon Aqaid Bayan kiye gaye hain jisse is kitab ke husn me Mazeed Nikhaar aa gaya hai.

Chand Aqaid ye hain:

Huzoor صلی اللہ علیہ وسلم ke Aaba o Ajdaad kufro shirk se paak the.

Uloome Khamsa (Qiyamat ka, Barish hone ka, Maa ke Reham me Moujood Bachche ki jins ka, kal kya hoga is cheez ka aur Mout kahan waaqe hogi, in sab cheezon ka ilm) ke Mutalliq Tahqiqi kalaam ke ye ilm Muqarrabine bargahe ilahi ko Hasil hota hai ya nahi.

Aqeeda e ilme ghaib wa tawassul me mudallal kalaam.

Jinnat ko ghaib ka ilm nahi.

Hazrat Yusuf علیہ السّلام ke bhaiyon ke bare me Musalmano ka Aqeeda.

Fiqh ke bahut se Masail zimnan zere bahas hain. Chand darj zail hain:

ilme Nujoom ka sharai Hukm.

Ramal ka sharai Hukm.

Ijtehadi khata ka Hukm.

Sharai Heelon ke jawaz ka suboot.

Munazre ka Hukm aur iska Tariqa.

Tasawwuf ke bahut se Nukaat bayan kiye gaye hain. Maslan:

Khaufe Khuda

Aajizi o inkisari

Yaqeen o tawakkul

Wara o Ehtiyaat

Sabro shukr

Aayate Qur'aniya se isharatan aur Dalalatan sabit hone wala bahut se Masail Bayan kiye gaye hain, jo Qur'an ka faham rakhne walon aur Aayaate Qur'aniya se istimbat karne walon ke liye behad faida mand hain.

Aqaid, fiqhi Masail, tasawwuf, tareekh aur Aayaat se Mustambat honae wale Masail ke ilawa bahut si aisi ilmi aur tahqiqi guftagu ki gayi hai, jo ilm wasi karne ka shauq rakhne walon ke liye Nihayat kaar Aamad hai.

Maslan:

Duniya me But parasti ki ibtida kaise hui?

Huzoor صلی اللہ علیہ وسلم ko kaddu pasand hone ki wajah?

Hazrat Ibrahim علیہ السّلام ke Khalilullah hone ki wajah?

Murde ko dafan karne ki ibtida kab aur kaise hui?

Sabse pahle Arabi zaban me kalaam karne wali shakhsiyat kaun?

Kitab Seeratul Ambiya me jagah jagah bahut saari Ambiya e Kiram ki sunnatain Bayan ki gayi hain, jo Ambiya e Kiram علیھم السّلام ki seerat par Amal karne walon ke liye mash'ale Raah hain. Chand ye hain:

Aulaad ko Nek kaamon ki wasiyyat karna.

Dua ke waqt Allah ki Hamd karna.

Ilm hasil karne ke liye safar karna.

Ibadat ke Tareeqe seekhna.

Deeni kaamon ke liye Bete ki dua karna.

Ambiya e Kiram علیھم السّلام ki khususiyaat aur unpar hone wale inamaat ko Qur'ane Kareem ki Aayaat se sabit kiya gaya hai.

Mojooda zamane me Ambiya e Kiram علیھم السّلام ki seerat par waarid hone wale Etirazaat ko nihayat khoobsurat Andaaz me Raf'aa kiya gaya hai.

Ambiya e Kiram علیھم السّلام ki seerat ke aham waqiaat ko alag Baab me Bayan kiya gaya hai, jo waqiaat me shagaf rakhne wala Qarein ki Dilchaspi ka Baais hai.

Kitab Seeratul Ambiya ke Aakhir me Ambiya e Kiram علیھم السّلام ki woh duaayen jo Qur'an e Kareem me Bayan ki gayi hain, unhe Alahida Baab me zikr kiya gaya hai, jisse is kitab ke husn ko char chand lag gaye hain.

Hazrat Sufyan Bin 'Uyaina علیہ الرحمہ ka farman hai:

saleheen ke zikr ke waqt Rahmaton ka nuzool hota hai.

Kitab Seeratul Ambiya ka Mutaala jahan ilme deen hasil karne ka behtareen zariya hai, wahin Rahmaton ke nuzool ka bhi sabab hai.

Allah Kareem kitab "Seeratul Ambiya" ke Musannif Mufti Muhammad Qasim Attari دامت برکاتہم العالیہ ki koshishon ko Maqbool farmaye, is kitab ko unki Najat ka zariya banaye, aur humen is kitab se barkaten, Rahmaten aur ilm hasil karne ki sa'adat Marhamat farmaye. آمین

Is Tarah Ki Aur Maloomat Hasil Karne Ke Liye Abhi Order Kijiye

SEERAT-E-AMBIYA Buy Now : https://maktabatulmadina.in/seerat-e-ambiya-urdu

Join Us: Get Updates & Get Involved

Our Addresses

Mumbai : Faizan-E-Madina, 50, Tan Tan Pura Street, Khadak, Masjid (W), Mumbai, Maharashtra-400009

Email Address: support@dawateislamiindia.org

Contact :02223462526

Copyright © 2025 IT Department of Dawateislami India